Islam me salam ki ahmiyat 16

♻✳♻

✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

         MADNI-MAASHRA

         ☆ ★ PART- 1⃣6⃣ ★☆

Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat

⇨ 16- Salaam ka jawab Nihayat khanda Peshani se dijiye.

⇨ Salaam ka jawab pura dijiye.

★ Salaam ka jawab Nihayat khushdili aur khanda Peshani se dijiye,

Ye musalman bhai ka haq he,is haq ko Ada karne me kabhi bukhl na dikhaiye,

★ Nabi Kareem SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ka irshad he musalman per musalman ke 5 haq he'n.↴

1- Salaam ka jawab Dena,

2- Mareez ki ayadat karna,

3- Janaze ke saath jaana,

4 - Dawat qubool karna,

5-  Chheenk ka jawab Dena.

Muslim-565.

★ Salaam ke jawab me 'wa' alaykum assalaam' kehne per hi iktfa na kijiye balki ' wa rahmatullahi wa barakatuh' ka izafa kijiye.

Qurane Paak ki Surah Nisa, Aayat 86 me he↴

Jab koi tumhe dua salaam kare to usko isse behtar dua do ya fir wahi alfaz jawab me keh do.

★ Hazrat Umar bin Husain Radi Allahu Ta'ala anhu ka bayaan he ke Nabi Kareem SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam tashreef farma the ke

ek Aadmi aaya aur usne aakar 'Assalamu alaykum ' kaha,

Aap SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne salaam ka jawab diya aur farmaya,:

" 10 ( yani 10 nekiya mili ) "

Fir ek doosra Aadmi aaya aur usne ' Assalamu alykum wa rahmatullah ' kaha.

Aap SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne salaam ka jawab de diya aur farmaya,

"20 ( yani bees nekiya mili)"

Iske baad ek teesra Aadmi aaya aur usne aakar kaha:

' Assalamu alykum wa rahmatullahi wa barakatuh,'

Aap SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne jawab diya aur farmaya,

"30 ( yani isko tees nekiya mili)"

Tirmizi-2689.

[ pαʀт ⇨17 ]
           cσηтίηυє...
               Nεxт  тimε  insнα  αllααн.

         ✿
          ▍▍✧ Mαdทï Mαรнrα ✧
          ▍        safa no. 240.
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻

No comments:

Post a Comment

Yaha aap apna maswara likhe